rabba mere rabba, rabba mere rabba
yeh kya ho gaya hai
mera yaar mujhse judaa ho gaya hai
judaa ho gaya hai
ho dil apna dena khata ho gaya hai
tujhe pyaar karna saza ho gaya hai
saza ho gaya hai
ho tujhe is tarah se yaad karne lage hain
tujhe is tarah se yaad karne lage hain
lahoo banke aansoo barasne lage hain
lahoo banke aansoo barasne lage hain
mohabbat se hum bhi ab toh darrne lage hain
mohabbat se hum bhi ab toh darrne lage hain
lahoo banke aansoo barasne lage hain
lahoo banke aansoo barasne lage hain
yeh judaai beqaraari, haaye yeh majbooriyaan
har kadam par saath hongi ab meri tanhaaiyaan
ab zamaana jaan lega pyaar ki dushwaariyaan
meri dushman ban gayi hain meri hi parchaaiyaan
khushi ke liye hum ab tarasne lage hain
khushi ke liye hum ab tarasne lage hain
lahoo banke aansoo barasne lage hain
lahoo banke aansoo barasne lage hain
ho gaye hum kitne tanha pyaar mein dil haar ke
dass rahi hai yeh judaai bin sajan bin pyaar ke
yaad humko aa rahe hain chaar din voh pyaar ke
voh adaayein voh sharaarat haaye jalwe yaar ke
ho judaai ke gham bhi mujhpe hasne lage hain
judaai ke gham bhi mujhpe hasne lage hain
lahoo banke aansoo barasne lage hain
lahoo banke aansoo barasne lage hain
dil apna dena khata ho gaya hai
tujhe pyaar karna saza ho gaya hai
saza ho gaya hai
ho tujhe is tarah se yaad karne lage hain
tujhe is tarah se yaad karne lage hain
lahoo banke aansoo barasne lage hain
lahoo banke aansoo barasne lage hain