Aa ha ha
Aa ha ha
O Sathi Mere
Haathon mein tere
Haathon ki ab girhaa di aise
Ki toote ye kabhi naa
O Sathi Mere
Haathon mein tere
Haathon ki ab girhaa di aise
Ki toote ye kabhi naa
Chal na kahin sapno ke gaaon re
Chhoote na phir bhi dharti se paaon re
Aag aur paani se phir likh dein woh waade saare
Saath hi mein roye hanse sang dhoop chaaon re
Aag aur paani se phir likh dein woh waade saare
Saath hi mein roye hanse sang dhoop chaaon re
O Sathi Mere
Haathon mein tere
Haathon ki ab girhaa di aise
Ki toote ye kabhi naa
Aaa
Hum jo bikhre kabhi
Tumse jo hum udhde kahin
Bun lena phir se har dhaaga
Hum toh adhoore yahaan
Tum bhi magar poore kahaan
Kar lein adhoorepan ko hum aadha
Jo bhi humaara ho
Meetha ho ya khaara ho
Aao na kar le hum sab saajha
O Saathi Mere
Haathon mein tere
Haathon ki ab girhaa di aise
Ki toote ye kabhi naa
Gehre andhere ya ujle savere hon
Ye saare toh hain tum se hi
Aankhon mein teri meri utre ik saath hi
Din ho patjhar ke raatein ya phoolon ki
Kitna bhi hum roothe par baat karenge saathi
Mausam mausam yunhi saath chalenge hum
Lambi in raahon pe phoonk ke phaahon se rakhenge
Paaon pe tere marham
Aao miley hum iss tarah
Aaye naa kabhi virah
Hum se main na ho riha
Humdum tum hi ho
Hardum tum hi ho
Ab hai yehi duaa
Saathi re umr ke salvat bhi saath tahenge hum
Goad mein leke sar se chandi chunenge hum
Mare na mare saathi par saath jeeyenge hum
O sathi mere
Haathon mein tere
Haathon ki ab girhaa di aise
Ki toote ye kabhi naa
Chal na kahin sapno ke gaaon re
Chhoote na phir bhi dharti se paaon re
Aag aur paani se phir likh de woh waade saare
Saath hi me roye hanse sang dhoop chaaon re
Aag aur paani se phir likh de woh waade saare
Saath hi me roye hanse sang dhoop chaaon re
O sathi mere
Haathon mein tere
Haathon ki ab girhaa di aise
Ki toote ye kabhi naa
Kabhi naa