[Verse 1]
Abhi ye ghar bhale hi khoob begaana hai tujhko
Jahaan-bhar mein bhatk kar phir yahi aana hai tujhko
Ke din jab dhal chuka hoga to soega kahaan tu?
Abhi se de rakha bistar ka sirhaana hai tujhko
Tere apne tujhe maaloom honge waqt chalte
Tu apna le abhi, jisko bhi apnaana hai tujhko
Tujhe maaloom hai, shamma mein jal jaayega fir bhi
Samajh sakti hoon, kyun banna to parwaana hai tujhko
[Chorus]
O, piya, O, piya, afsaane sunata hai kyun?
Rasiya, rasiya, kahin aur tu jaata hai kyun?
O, piya, O, piya, afsaane sunata hai kyun?
Rasiya, rasiya, kahin aur tu jaata hai kyun?
O, piya, O, piya, afsaane sunata hai kyun?
Rasiya, rasiya, kahin aur tu jaata hai kyun?
[Verse 2]
Teri har "Haan" mein usne "Haan" milaai ek hafta
Tujhe lagta hai, usne khoob pahchaana hai tujhko
Main har ghiz poochhti hoon, "Kyun galat raasta chuna hai?"
Bata, kab aur kitni baar pachhtaana hai tujhko
Tera gham tha, tujhe samjha nahi jaata kahin pe
Kya saari zindagi is gham ko doharaana hai tujhko
Tajurba ye bhi le-le, chal ise bhi ji le poora
Sunaane ko mila ek aur afsaana hai tujhko
[Chorus]
O, piya, O, piya, afsaane sunata hai kyun?
Rasiya, rasiya, kahin aur tu jaata hai kyun?
O, piya, O, piya, afsaane sunata hai kyun?
Rasiya, rasiya, kahin aur tu jaata hai kyun?