[Verse 1]
Inka vision bana black and white
Jaise abhi baraf pe charas hai
Apan neeche ki seedi se upar chadhe
Tabhi baraste galat hain
Nahi faraq pada mujhe mausam ke badalte roop se
Tabhi hain khod diye khayal
Jo mere saalon se dafan the
Paise aane lage pata chala
Yeh pyaar ka jawaab nahi hai
Par vyast hogaya udaane mein
Toh ab sawal nahi hai
Agar diya bhaw inhe liya ho dhoka
Bhaw nahi bachi jaan mere mein
Isiliye mujhe koi lagaav nahi hai
Mere saath nahi hai
[Verse 2]
Yeh aashiqui nahi yeh aadat hai
Tu bhi kare vehm
Ab woh bhi hum kare sehen
Usse bhi lagaav nahi
Woh bhi kare pretend
Mai ab bhi woh do pal ke peeche jisme mujhe mile rehem
Aur sochu woh do pal ke baare mein jo maine kiye sehen
Aur ab peeche hai khaai
Aur aage hai kuaan
Aur hun bhatakta mein
Aur raahein ho jaati alag hain
Phir bhi haath pakadne ka mann hai
Aur chaand ke jaane se shikar hai
Mujhe suraj ke jaane ka gham hai
Aur yaadein mene kari dafan hain
Tabhi toh rishton pe lage ab kafan hai
Tabhi hoodie hai upar
Aur jhuka hua mera sarr hai na
Naapi hai doori aur wohi badhane ka mann hai na
Kher aaj samajh agar kari hai mene madad hai na
Ehsaan jataane ko aarahe
Par jabse dikhne laga mujhe, tujhe bhi dikhne ka darr hai na
[Outro]
Inke rush ka alag hai philosophy
Competition race puche kidhar nahi
Jahan muh bada wahan jigar nahi
Meri soch aage mujhe fikar nahi
Hai 23 se 23 tak