Rangeeli ho, sajeeli ho - 2
Tu albeli o - 2
Main albeli,
ghoomoon akeli,
koi paheli hoon main
Ho, main albeli,
ghoomoon akeli,
koi paheli hoon main
Pagli hawaaye mujhe jaha bhi le jaaye
In hawaaon ki saheli hoon main
Tu hai rangeeli, ho
Tu hai sajeeli, ho
Hirni hoon ban mein,
kali gulshan mein
Shabnam kabhi hoon main,
kabhi hoon shola
Shyaam aur savere, sau rang mere
Main bhi nahin jaanoon aakhir hoon main kya
Tu albeli,
ghoome akeli,
koi paheli hai tu
Pagli hawaaye tujhe jaha bhi le jaaye
In hawaaon ki saheli hai tu
Tu albeli,
ghoome akeli,
koi paheli,
paheli
Mere hisse mein aayi hain kaisi betaabiya
Mera dil ghabraata hai main chaahe jaaoon jaha
Hmm, mere hisse mein aayi hain kaisi betaabiya
Mera dil ghabraata hai main chaahe jaaoon jaha
Meri bechaini le jaaye mujhko jaane kahan
Main ek pal hoon yahan
Main ek pal hoon yahan, main hoon ek pal vahan
Tu baawali hai
Tu manchali hai
Sapnon ki hai duniya jis mein tu hai pali
Main albeli, ghoomoon akeli, koi paheli hoon main
Tu albeli, o
Main albeli,
ghoomoon akeli,
koi paheli hoon main
Pagli hawaaye mujhe jaha bhi le jaaye
In hawaaon ki saheli hoon main
Tu hai rangeeli, ho
Tu hai sajeeli, ho
Hirni hoon ban mein,
kali gulshan mein
Shabnam kabhi hoon main,
kabhi hoon shola
Shyaam aur savere,
sau rang mere
Main bhi nahin jaanoon aakhir hoon main kya
Oh
Tu albeli, o
Hm, hm, main woh raahi hoon jiski koi manzil nahin
Main woh armaan hoon jiska koi haasil nahin
Main hoon woh mauj ke jiska koi saahil nahin
Mera dil naazuk hai
Mera dil naazuk hai, patthar ka mera dil nahin
Tu anjaani, tu hai deewani
Sheesha leke patthar ki duniya mein hai chali
Tu albeli, ghoome akeli, koi paheli hai tu
Pagli hawaaye tujhe jaha bhi le jaaye
In hawaaon ki saheli hai tu
Main hoon rangeeli, ho
Main hoon sajeeli, ho
Hirni hoon ban mein, kali gulshan mein
Shabnam kabhi hoon main, kabhi hoon shola
Shyaam aur savere, haan, sau rang mere, haan
Main bhi nahin jaanoon aakhir hoon main kya