Kabhee kabhee mere dil me khayal aata hai
kee jaise tujhko banaya gaya hai mere liye
too abse pehle sitaro me bas rahee thee kahee
tujhe jamin pe bulaya gaya hai mere liye
kabhee kabhee mere dil me khayal aata hai
kee yeh badan yeh nigahe meree amanat hain
yeh gesuo kee ghanee chhaon hain meree khatir
yeh honth aur yeh baahe meree amanat hain
kabhee kabhee mere dil me khayal aata hai
kee jaise bajatee hain shehnaiya see raaho me
suhag rat hain ghunghat utha raha hu mai
simat rahee hai too sharma ke apni baaho me
kabhee kabhee mere dil me khayal aata hai
kee jaise too mujhe chahegee umrr bhar yu hee
uthegee meree taraf pyar kee najar yu hee
mai janta hu kee too gair hai magar yu hee
kabhee kabhee mere dil me khayal aata hai