Likhe jo khat tujhe woh teri yaad mein hazaaron rang ke nazaare ban gaye
Sawera jab huya to phool ban gaye, jo raat aayi to sitaare ban gaye
Koyi nagma kahin goonja kahan dil mein yeh tu aayi
Kahin chatki kali koyi main yeh samjha, tu sharmaayi
Koyi khushboo kahin bikhri laga yeh zulf lehraayi
Likhe jo khat tujhe...
Fiza rangeen, adaa rangeen, yeh ithlaana, yeh sharmaana
Yeh angdhaayi, yeh tanhaayi yeh tarsa kar, chale jaana
Bana de ga nahi kisko jawaan jadoo yeh deewana
Likhe jo khat tujhe..
Jahan tu hai, wahan main hoon, mere dil ki tu dhadhkan hai
Musafir main tu manzil hai, main pyaasa hoon tu saawan hai
Meri duniya yeh nazre hain, meri jannat yeh daaman hai
Likhe jo khat tujhe...