aasmaan bhi haarta hai
zameen pe waqt guzaarta hai
phir se unchaiyon ki chah mein
zindagi jo toot’ti hai
neend saari roothti hai
honsla mil hi jaata hai raah mein
phir udega dil unn udano mein
phir ladega dil do jahano se
jeetne ke liye oh
jeetne ke liye
jeetne ke liye
kehte hain yeh iraade sabhi
toota hoon main bikhra nahi
dhoop mein jo pighal jaaye
main woh barf ka tukda nahi
na darega dil inn tufano se
phir ladega dil do jahano se
jeetne ke liye oh
jeetne ke liye
jeetne ke liye
din mein dekhi raate kayi
hone lagi subah nayi
andheron ki dararon se ab
dikhe lagi hai roshni
na darega dil imtihaano se
phir ladega dil do jahano se
jeetne ke liye oh
jeetne ke liye
jeetne ke liye